Dhundli yaadein, bikhre sapne gumsum chehre chaaron aur sab ke moonh me jubaan hai lekin labon pe pehre chaaron aur sab ke haatho me dikhte hain sau ummedo ke parcham par anjaane darr se sab ke kadam hain thehre chaaron aur aankhon me ansu, paanvo me chhale mann me malaal-e-majboori lagta hai jaise, sab ke dilo me ghaav hain gehre chaaron aur tum bhi shayad yahi kahoge dekh ke badhte julmositam jag me keval bache hain andhe, goonge, behre chaaron aur